ruKH-e-hayat pe rang-e-malal ab bhi hai
ruḳh-e-hayāt pe rang-e-malāl ab bhī hai
kisī ko bhūlnā kār-e-muhāl ab bhī hai
na jaane kab se hai sahrāoñ kā safar darpesh
magar ye dil hai ki dariyā-misāl ab bhī hai
nibhā rahā hai ta.alluq rafīq-e-derīna
ġham-e-nafas ko hamārā ḳhayāl ab bhī hai
ridā-e-zaḳhm se kal bhī damak rahā thā badan
nigār-ḳhānā-e-hastī nihāl ab bhī hai
darāz-dastī-e-shām-e-firāq se kah do
ki merī ruuh meñ kaif-e-visāl ab bhī hai
milā to hai vo ba-zāhir tapāk se lekin
nigāh kahtī hai shīshe meñ baal ab bhī hai
zabāñ-burīdoñ ke tevar batā rahe haiñ 'rāz'
nigāh-o-lab pe vo harf-e-savāl ab bhī hai
ruKH-e-hayat pe rang-e-malal ab bhi hai
kisi ko bhulna kar-e-muhaal ab bhi hai
na jaane kab se hai sahraon ka safar darpesh
magar ye dil hai ki dariya-misal ab bhi hai
nibha raha hai talluq rafiq-e-derina
gham-e-nafas ko hamara KHayal ab bhi hai
rida-e-zaKHm se kal bhi damak raha tha badan
nigar-KHana-e-hasti nihaal ab bhi hai
daraaz-dasti-e-sham-e-firaq se kah do
ki meri ruh mein kaif-e-visal ab bhi hai
mila to hai wo ba-zahir tapak se lekin
nigah kahti hai shishe mein baal ab bhi hai
zaban-buridon ke tewar bata rahe hain 'raaz'
nigah-o-lab pe wo harf-e-sawal ab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.