ruKH-e-insaniyat par bhige jute mar deti hai
ruKH-e-insaniyat par bhige jute mar deti hai
Mashkoor Mamnoon Qannauji
MORE BYMashkoor Mamnoon Qannauji
ruḳh-e-insāniyat par bhīge juute maar detī hai
yahāñ par bhuuk ab ma.asūm bachche maar detī hai
hameñ mālūm hai nā-jā.ez-o-jā.ez hai kyā lekin
shikam kī aag to saare salīqe maar detī hai
mire dil meñ bhī jazbe haiñ tamannā.eñ machaltī haiñ
magar ġhurbat mohabbat ke irāde maar detī hai
mohabbat ajnabī logoñ se rishta joḌ letī hai
kudūrat had se baḌh jaa.e to rishte maar detī hai
ham apnī maañ kī nazroñ meñ vahī ma.asūm bachche haiñ
chapat vo pyaar se ab bhī hamāre maar detī hai
mujhe 'mashkūr' us se jab shikāyat hone lagtī hai
vo nam āñkhoñ se mere saare shikve maar detī hai
ruKH-e-insaniyat par bhige jute mar deti hai
yahan par bhuk ab masum bachche mar deti hai
hamein malum hai na-jaez-o-jaez hai kya lekin
shikam ki aag to sare saliqe mar deti hai
mere dil mein bhi jazbe hain tamannaen machalti hain
magar ghurbat mohabbat ke irade mar deti hai
mohabbat ajnabi logon se rishta joD leti hai
kudurat had se baDh jae to rishte mar deti hai
hum apni man ki nazron mein wahi masum bachche hain
chapat wo pyar se ab bhi hamare mar deti hai
mujhe 'mashkur' us se jab shikayat hone lagti hai
wo nam aankhon se mere sare shikwe mar deti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.