ruKH-e-rangin pe ashkon ki rawani ab bhi hoti hai
ruKH-e-rangin pe ashkon ki rawani ab bhi hoti hai
Sayyad Safdar Hussain
MORE BYSayyad Safdar Hussain
ruḳh-e-rangīñ pe ashkoñ kī ravānī ab bhī hotī hai
sunā hai mujh pe un kī mehrbānī ab bhī hotī hai
sukūt-e-ishq iz.hār-e-tamannā ab bhī kartā hai
nigāh-e-nāz sarf-e-lan-tarānī ab bhī hotī hai
taġhāful ne kisī ke kar diyā bezār jiine se
magar ummīd vaj.h-e-zindagānī ab bhī hotī hai
sitāre be-palak jhapkā.e sunte haiñ ye afsāna
lab-e-mahtāb par tirī kahānī ab bhī hotī hai
bahāroñ ko jo luuTe vo javānī ab na ho lekin
bahāreñ jis ko lūTeñ vo javānī ab bhī hotī hai
ye maanā rāz-e-dil kah kar dil apnā kar liyā halkā
magar mahsūs un kī sar-girānī ab bhī hotī hai
tire va.ade badal sakte nahīñ merī tabī.at ko
tire va.adoñ pe aksar bad-gumānī ab bhī hotī hai
umīdeñ haiñ charāġh-e-rahguzar in kā bharosa kyā
basar tārīkiyoñ meñ zindagānī ab bhī hotī hai
samajhte the jo āñkhoñ kī zabāñ vo ab kahāñ lekin
nigāhoñ se diloñ kī tarjumānī ab bhī hotī hai
jise sunte the ham tum chāñd kī ThanDī shuāoñ meñ
sitāroñ kī zabāñ par vo kahānī ab bhī hotī hai
huī muddat ki zaḳhm-e-ārzū murjhā ga.e lekin
mirī sūrat tire ġham kī nishānī ab bhī hotī hai
chaman vāloñ ke ādāb-e-junūñ kā mo.ajiza kahiye
ki dāmān-e-ḳhizāñ se gul-fishānī ab bhī hotī hai
bahut kuchh de chukī hai zindagī ko us kā haq duniyā
magar be-kaif muflis ko javānī ab bhī hotī hai
mire ashkoñ se 'safdar' ab bhī bhar jaatā hai jaam apnā
baġhair un ke mai-e-gul-rang paanī ab bhī hotī hai
ruKH-e-rangin pe ashkon ki rawani ab bhi hoti hai
suna hai mujh pe un ki mehrbani ab bhi hoti hai
sukut-e-ishq izhaar-e-tamanna ab bhi karta hai
nigah-e-naz sarf-e-lan-tarani ab bhi hoti hai
taghaful ne kisi ke kar diya bezar jine se
magar ummid wajh-e-zindagani ab bhi hoti hai
sitare be-palak jhapkae sunte hain ye afsana
lab-e-mahtab par teri kahani ab bhi hoti hai
bahaaron ko jo luTe wo jawani ab na ho lekin
bahaaren jis ko luTen wo jawani ab bhi hoti hai
ye mana raaz-e-dil kah kar dil apna kar liya halka
magar mahsus un ki sar-girani ab bhi hoti hai
tere wade badal sakte nahin meri tabiat ko
tere wadon pe aksar bad-gumani ab bhi hoti hai
umiden hain charagh-e-rahguzar in ka bharosa kya
basar tarikiyon mein zindagani ab bhi hoti hai
samajhte the jo aankhon ki zaban wo ab kahan lekin
nigahon se dilon ki tarjumani ab bhi hoti hai
jise sunte the hum tum chand ki ThanDi shuaon mein
sitaron ki zaban par wo kahani ab bhi hoti hai
hui muddat ki zaKHm-e-arzu murjha gae lekin
meri surat tere gham ki nishani ab bhi hoti hai
chaman walon ke aadab-e-junun ka moajiza kahiye
ki daman-e-KHizan se gul-fishani ab bhi hoti hai
bahut kuchh de chuki hai zindagi ko us ka haq duniya
magar be-kaif muflis ko jawani ab bhi hoti hai
mere ashkon se 'safdar' ab bhi bhar jata hai jam apna
baghair un ke mai-e-gul-rang pani ab bhi hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.