ruKH-e-zamin pe bikhra hua gulab ka rang
ruḳh-e-zamīn pe bikhrā huā gulāb kā rang
havā chalī to dikhā.ī diyā sharāb kā rang
kisī ne paañv dhare gungunātī naddī meñ
fazā meñ phail gayā barbat-o-rabāb kā rang
parinde so.e hue the udaas jangal maiñ
siyāh peḌoñ se lipTā thā māhtāb kā rang
mire bayān kī hiddat se bhiig saktā hai
tumhārī aañkh meñ phailā huā sarāb kā rang
guzar ga.ī hai savārī ghane añdhere kī
utar rahā hai daraḳhtoñ pe āftāb kā rang
ruKH-e-zamin pe bikhra hua gulab ka rang
hawa chali to dikhai diya sharab ka rang
kisi ne panw dhare gungunati naddi mein
faza mein phail gaya barbat-o-rabab ka rang
parinde soe hue the udas jangal main
siyah peDon se lipTa tha mahtab ka rang
mere bayan ki hiddat se bhig sakta hai
tumhaari aankh mein phaila hua sarab ka rang
guzar gai hai sawari ghane andhere ki
utar raha hai daraKHton pe aaftab ka rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.