ruKH-e-zeba dikhaya ja raha hai
ruḳh-e-zebā dikhāyā jā rahā hai
mujhe phir āzmāyā jā rahā hai
bahut dilkash hai manzar chāñdnī kā
nigāhoñ meñ samāyā jā rahā hai
Thaharte hī nahīñ palkoñ pe aañsū
tumheñ dil se bhulāyā jā rahā hai
badal kar mere afsāne kā unvāñ
zamāne ko sunāyā jā rahā hai
chalo ham bhī chaleñ mahfil meñ us kī
har ik apnā parāyā jā rahā hai
charāġhoñ kī laveñ tharrā rahī haiñ
dhuāñ har samt chhāyā jā rahā hai
'jamāl' achchhī nahīñ itnī udāsī
kaleja muñh ko aaya jā rahā hai
ruKH-e-zeba dikhaya ja raha hai
mujhe phir aazmaya ja raha hai
bahut dilkash hai manzar chandni ka
nigahon mein samaya ja raha hai
Thaharte hi nahin palkon pe aansu
tumhein dil se bhulaya ja raha hai
badal kar mere afsane ka unwan
zamane ko sunaya ja raha hai
chalo hum bhi chalen mahfil mein us ki
har ek apna paraya ja raha hai
charaghon ki lawen tharra rahi hain
dhuan har samt chhaya ja raha hai
'jamal' achchhi nahin itni udasi
kaleja munh ko aaya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.