ruKH kisi aur ki jaanib hai ishaare kuchh aur
ruḳh kisī aur kī jānib hai ishāre kuchh aur
shahr meñ chāhne vaale haiñ tumhāre kuchh aur
itnī jaldī nahīñ is raat meñ aatā hai qarār
dil se kah do ki shab-e-hijr ko vaare kuchh aur
saath rahtā hai bahut roz koī 'ishq meñ kab
haiñ jo kuchh aur tumhāre to hamāre kuchh aur
ho ga.iiñ yaad tirī āyateñ kuchh aur hameñ
paḌh liye ham ne tire 'ishq ke paare kuchh aur
maiñ to samjhā thā ki ab raat hai jaane vaalī
āḳhir-e-shab nikal aa.e haiñ sitāre kuchh aur
ek āvāz pe dīvāne kahāñ lauTe haiñ
mere aahū se kaho mujh ko pukāre kuchh aur
ḳhatm hotā hī nahīñ silsila-e-tishna-labī
log maujūd haiñ dariyā ke kināre kuchh aur
aaj kī raat vo baiThā hai mire pahlū meñ
aaj kī raat falak chāñd utāre kuchh aur
itnā āsāñ nahīñ zanjīr banānā is kā
pech vo aur de gesū ko sañvāre kuchh aur
phir tirā mulk rahegā na tirā taaj na taḳht
baḌh ga.e shahr meñ gar zulm ke maare kuchh aur
de mire haath meñ ab apnī mohabbat kā 'asā
'umr kā tai ho safar is ke sahāre kuchh aur
shahr meñ ḳhush-tanoñ ḳhush-pairahanoñ kī ḳhātir
'ishq meñ phir se uThā lūñgā ḳhasāre kuchh aur
ruKH kisi aur ki jaanib hai ishaare kuchh aur
shahr mein chahne wale hain tumhaare kuchh aur
itni jaldi nahin is raat mein aata hai qarar
dil se kah do ki shab-e-hijr ko ware kuchh aur
sath rahta hai bahut roz koi 'ishq mein kab
hain jo kuchh aur tumhaare to hamare kuchh aur
ho gain yaad teri aayaten kuchh aur hamein
paDh liye hum ne tere 'ishq ke pare kuchh aur
main to samjha tha ki ab raat hai jaane wali
aaKHir-e-shab nikal aae hain sitare kuchh aur
ek aawaz pe diwane kahan lauTe hain
mere aahu se kaho mujh ko pukare kuchh aur
KHatm hota hi nahin silsila-e-tishna-labi
log maujud hain dariya ke kinare kuchh aur
aaj ki raat wo baiTha hai mere pahlu mein
aaj ki raat falak chand utare kuchh aur
itna aasan nahin zanjir banana is ka
pech wo aur de gesu ko sanware kuchh aur
phir tera mulk rahega na tera taj na taKHt
baDh gae shahr mein gar zulm ke mare kuchh aur
de mere hath mein ab apni mohabbat ka 'asa
'umr ka tai ho safar is ke sahaare kuchh aur
shahr mein KHush-tanon KHush-pairahanon ki KHatir
'ishq mein phir se uTha lunga KHasare kuchh aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.