ruKH pe haya ka rang-e-shahabi naqab sa
ruḳh pe hayā kā rang-e-shahābī naqāb sā
iz.hār ke laboñ pe laraztā hijāb sā
chehra ki jaise ek sahīfa ho nuur kā
lahja na.ī ġhazal kī navelī kitāb sā
sadiyoñ kī furqatoñ meñ mujhe qaid kar gayā
vo lamha-e-visāl ki thā jo sarāb sā
maiñ thā hisār-e-zāt kī ḳhāmoshiyoñ meñ gum
chheḌā hai aaj kis ne ye dil kā rubāb sā
sadiyoñ kī ik tavīl rifāqat ke bāvajūd
haiñ vo hī fāsle se vahī ijtināb sā
vo pichhle inqalāb hī kyā de ga.e hameñ
ik laao inqalāb jo ho inqalāb sā
'sajjād' apne hosh-o-ḳhirad ko bachā.iyo
saaqī banā huā hai jo ḳhud hai sharāb sā
ruKH pe haya ka rang-e-shahabi naqab sa
izhaar ke labon pe larazta hijab sa
chehra ki jaise ek sahifa ho nur ka
lahja nai ghazal ki naweli kitab sa
sadiyon ki furqaton mein mujhe qaid kar gaya
wo lamha-e-visal ki tha jo sarab sa
main tha hisar-e-zat ki KHamoshiyon mein gum
chheDa hai aaj kis ne ye dil ka rubab sa
sadiyon ki ek tawil rifaqat ke bawajud
hain wo hi fasle se wahi ijtinab sa
wo pichhle inqalab hi kya de gae hamein
ek lao inqalab jo ho inqalab sa
'sajjad' apne hosh-o-KHirad ko bachaiyo
saqi bana hua hai jo KHud hai sharab sa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.