ruKH se gesu haTa mehrban baat kar
ruḳh se gesū haTā mehrbāñ baat kar
TūTeñ ḳhāmoshiyāñ merī jaañ baat kar
mujh ko phir se sunā koī shīrīñ suḳhan
dil pe utre mire kahkashāñ baat kar
ye salīqa mohabbat sikhātī hai bas
ḳhāmushī ho kahāñ aur kahāñ baat kar
chaar mausam to duniyā meñ maujūd haiñ
tujh ko lā duuñ koī pāñchvāñ baat kar
pīTh-pīchhe burā.ī munāsib nahīñ
sāmne baiTh mere yahāñ baat kar
habs-e-bejā meñ dam ghuT rahā hai mirā
ai zamīñ baat kar āsmāñ baat kar
tū mire ġham ko chhoTā samajhtā rahā
dekh zaḳhmoñ ke dil par nishāñ baat kar
ruKH se gesu haTa mehrban baat kar
TuTen KHamoshiyan meri jaan baat kar
mujh ko phir se suna koi shirin suKHan
dil pe utre mere kahkashan baat kar
ye saliqa mohabbat sikhati hai bas
KHamushi ho kahan aur kahan baat kar
chaar mausam to duniya mein maujud hain
tujh ko la dun koi panchwan baat kar
piTh-pichhe burai munasib nahin
samne baiTh mere yahan baat kar
habs-e-beja mein dam ghuT raha hai mera
ai zamin baat kar aasman baat kar
tu mere gham ko chhoTa samajhta raha
dekh zaKHmon ke dil par nishan baat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.