ruKH se parda jo haTa do to maza aa jae
ruḳh se parda jo haTā do to mazā aa jaa.e
apnā chehra jo dikhā do to mazā aa jaa.e
dūriyāñ Dastī haiñ har shab mujhe sāñpoñ kī tarah
fāsle aa ke miTā do to mazā aa jaa.e
merī āvāz akelī bhī hai maddham bhī hai
tum jo āvāz milā do to mazā aa jaa.e
chāñd ke misl nigāhoñ meñ hasīñ chehra hai
ġham ke bādal ko havā do to mazā aa jaa.e
jang kartā hai zamāne se akelā 'hānī'
tum agar saath nibhā do to mazā aa jaa.e
ruKH se parda jo haTa do to maza aa jae
apna chehra jo dikha do to maza aa jae
duriyan Dasti hain har shab mujhe sanpon ki tarah
fasle aa ke miTa do to maza aa jae
meri aawaz akeli bhi hai maddham bhi hai
tum jo aawaz mila do to maza aa jae
chand ke misl nigahon mein hasin chehra hai
gham ke baadal ko hawa do to maza aa jae
jang karta hai zamane se akela 'hani'
tum agar sath nibha do to maza aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.