ruKHsar ko hai zulf-e-shikan-dar-shikan se rabt
ruKHsar ko hai zulf-e-shikan-dar-shikan se rabt
Sayyad Ameer Hasan Badr
MORE BYSayyad Ameer Hasan Badr
ruḳhsār ko hai zulf-e-shikan-dar-shikan se rabt
ya.anī hai shaiḳh-e-ka.aba ko ab barhaman se rabt
yūñhī hai mujh ko us but-e-paimāñ-shikan se rabt
hai chand roza ruuh kā jaise badan se rabt
phūloñ ko jis tarah ho bahār-e-chaman se rabt
yūñhī thā mujh ko bhī kisī gul-pairahan se rabt
rakhtā nahīñ huuñ sirf husain-o-hasan se rabt
hai mujh ko chaar yaar se aur panjatan se rabt
ḳhushiyāñ manā.eñ ġhair na is irtibāt par
mujh se bhī thā kabhī but-e-paimāñ-shikan se rabt
hamd-o-sanā meñ terī maiñ ratb-ul-lisāñ rahūñ
jab tak rahe dahan meñ zabāñ ko suḳhan se rabt
dīvāna chashm-o-gesu-e-mushkīñ kā huuñ tire
rakhtā huuñ is liye maiñ ġhazāl-e-ḳhutan se rabt
ham bhī kisī ke tīr-e-nazar ke shikār the
ham ko bhī thā kabhī kisī nāvak-fagan se rabt
kis darja tuul hai shab-e-tār-e-firāq-e-yār
shāyad hai us ko zulf-e-shikan-dar-shikan se rabt
tīr-e-nazar se dil ko na chhalnī banāo 'badr'
achchhā nahīñ hai is but-e-nāvak-fagan se rabt
ruKHsar ko hai zulf-e-shikan-dar-shikan se rabt
yani hai shaiKH-e-kaba ko ab barhaman se rabt
yunhi hai mujh ko us but-e-paiman-shikan se rabt
hai chand roza ruh ka jaise badan se rabt
phulon ko jis tarah ho bahaar-e-chaman se rabt
yunhi tha mujh ko bhi kisi gul-pairahan se rabt
rakhta nahin hun sirf husain-o-hasan se rabt
hai mujh ko chaar yar se aur panjatan se rabt
KHushiyan manaen ghair na is irtibaat par
mujh se bhi tha kabhi but-e-paiman-shikan se rabt
hamd-o-sana mein teri main ratb-ul-lisan rahun
jab tak rahe dahan mein zaban ko suKHan se rabt
diwana chashm-o-gesu-e-mushkin ka hun tere
rakhta hun is liye main ghazal-e-KHutan se rabt
hum bhi kisi ke tir-e-nazar ke shikar the
hum ko bhi tha kabhi kisi nawak-fagan se rabt
kis darja tul hai shab-e-tar-e-firaq-e-yar
shayad hai us ko zulf-e-shikan-dar-shikan se rabt
tir-e-nazar se dil ko na chhalni banao 'badr'
achchha nahin hai is but-e-nawak-fagan se rabt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.