ruKHsat hui bahaar nazare chale gae
ruḳhsat huī bahār nazāre chale ga.e
dāman tirā chhinā ki sahāre chale ga.e
aaya na lab pe harf-e-shikāyat bhī bhuul ke
jaise bhī apnī guzrī guzāre chale ga.e
sab kuchh luTāyā phir bhī tujhe pā sake na ham
baazī har ek gaam pe haare chale ga.e
siine meñ soz aañkh meñ aañsū liye hue
mahfil se terī dard ke maare chale ga.e
hañs hañs ke ham ne zulm sahe haiñ tire liye
mar mar ke bhī tujhī ko pukāre chale ga.e
maujoñ se ai 'tabassum' abhī aur khel le
kashtī se terī duur kināre chale ga.e
ruKHsat hui bahaar nazare chale gae
daman tera chhina ki sahaare chale gae
aaya na lab pe harf-e-shikayat bhi bhul ke
jaise bhi apni guzri guzare chale gae
sab kuchh luTaya phir bhi tujhe pa sake na hum
bazi har ek gam pe haare chale gae
sine mein soz aankh mein aansu liye hue
mahfil se teri dard ke mare chale gae
hans hans ke hum ne zulm sahe hain tere liye
mar mar ke bhi tujhi ko pukare chale gae
maujon se ai 'tabassum' abhi aur khel le
kashti se teri dur kinare chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.