ruKHsat hui jawani naqsha badal raha hai
ruḳhsat huī javānī naqsha badal rahā hai
thā naaz tum ko jis par vo husn Dhal rahā hai
ho jaa.e kuchh se kuchh to kyā hai maqām-e-hairat
ik ek pal meñ rang-e-duniyā badal rahā hai
hai dil-lagī kisī kī hāl-e-zabūñ kisī kā
hañstī hai sham'-e-mahfil parvāna jal rahā hai
vo āj-kal tavajjoh karte haiñ merī jānib
dil is liye ḳhushī se bāñsoñ uchhal rahā hai
pūchho usī ke dil se kyā vaqt kī hai qīmat
ġhaflat meñ 'umr kho kar jo haath mal rahā hai
dekhā hai mai-kade meñ ye rang shaiḳh jī kā
pagḌī uchhal rahī hai paañv phisal rahā hai
kis kis tarah se mujh ko vo aazmā rahe haiñ
maiñ mar rahā huuñ un kā armāñ nikal rahā hai
is kī nahīñ ḳhabar kuchh ghaTtī hai 'umr apnī
ham ye samajh rahe haiñ bas vaqt Tal rahā hai
gardan mirī uḌā kar qātil hai ābdīda
dekho mirī karāmat lohā pighal rahā hai
āñkhoñ pe terī zālim kyā paḌ gayā hai parda
ġhuncha samajh ke mere dil ko masal rahā hai
kyā chiiz zindagī hai kahte haiñ maut kis ko
ye mas.ala abhī tak mohtāj-e-hal rahā hai
qīmat meñ qadr meñ haiñ anmol she'r mere
dariyā-e-tab' apnā motī ugal rahā hai
jis daur meñ thā raa.ij guzrā vo daur 'bartar'
is daur meñ vafā kā sikka na chal rahā hai
ruKHsat hui jawani naqsha badal raha hai
tha naz tum ko jis par wo husn Dhal raha hai
ho jae kuchh se kuchh to kya hai maqam-e-hairat
ek ek pal mein rang-e-duniya badal raha hai
hai dil-lagi kisi ki haal-e-zabun kisi ka
hansti hai sham'-e-mahfil parwana jal raha hai
wo aaj-kal tawajjoh karte hain meri jaanib
dil is liye KHushi se banson uchhal raha hai
puchho usi ke dil se kya waqt ki hai qimat
ghaflat mein 'umr kho kar jo hath mal raha hai
dekha hai mai-kade mein ye rang shaiKH ji ka
pagDi uchhal rahi hai panw phisal raha hai
kis kis tarah se mujh ko wo aazma rahe hain
main mar raha hun un ka arman nikal raha hai
is ki nahin KHabar kuchh ghaTti hai 'umr apni
hum ye samajh rahe hain bas waqt Tal raha hai
gardan meri uDa kar qatil hai aabdida
dekho meri karamat loha pighal raha hai
aankhon pe teri zalim kya paD gaya hai parda
ghuncha samajh ke mere dil ko masal raha hai
kya chiz zindagi hai kahte hain maut kis ko
ye masala abhi tak mohtaj-e-hal raha hai
qimat mein qadr mein hain anmol she'r mere
dariya-e-tab' apna moti ugal raha hai
jis daur mein tha raij guzra wo daur 'bartar'
is daur mein wafa ka sikka na chal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.