rukun to rukta hai chalne pe sath chalta hai
rukūñ to ruktā hai chalne pe saath chaltā hai
magar giraft meñ aatā nahīñ ki saaya hai
jhulas rahe haiñ badan dhuup kī tamāzat se
ki raat bhar baḌe zoroñ kā abr barsā hai
abhī to kal kī thakan jism se nahīñ niklī
sitam ki aaj kā din bhī pahāḌ jaisā hai
samajh rahe the jise ek mehrbāñ bādal
vo aag ban ke harī ketiyoñ pe barsā hai
vo ek shaḳhs jise aaj tak nahīñ dekhā
ḳhayāl-o-fikr pe us shaḳhs kā ijāra hai
dabīz pardoñ ke pīchhe na jhāñkiye ki vahāñ
ga.e dinoñ ko nishānī banā ke rakkhā hai
'shafīq' DhūñDne nikle the ghar se ham jis ko
vo kirchiyoñ kī tarah rāstoñ meñ bikhrā hai
rukun to rukta hai chalne pe sath chalta hai
magar giraft mein aata nahin ki saya hai
jhulas rahe hain badan dhup ki tamazat se
ki raat bhar baDe zoron ka abr barsa hai
abhi to kal ki thakan jism se nahin nikli
sitam ki aaj ka din bhi pahaD jaisa hai
samajh rahe the jise ek mehrban baadal
wo aag ban ke hari ketiyon pe barsa hai
wo ek shaKHs jise aaj tak nahin dekha
KHayal-o-fikr pe us shaKHs ka ijara hai
dabiz pardon ke pichhe na jhankiye ki wahan
gae dinon ko nishani bana ke rakkha hai
'shafiq' DhunDne nikle the ghar se hum jis ko
wo kirchiyon ki tarah raston mein bikhra hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 225)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.