rula rula hi ke mujhse chalo mile to sahi
rulā rulā hī ke mujh se chalo mile to sahī
vo mujh ko chāhtā hai ye mujhe lage to sahī
maiñ us kī bātoñ kā āḳhir yaqīn kyoñ na karūñ
vo ham-kalām ho mujh se nazar mile to sahī
vo mehrbān ho mujh par ye ho to saktā hai
magar ye harf-e-guzārish kabhī khule to sahī
hamāre zaḳhm ko hai ḳhud hī indimāl kā shauq
vo narm lahja liye is taraf baḌhe to sahī
kabhī kabhī to bahut vo burā lagā hai mujhe
magar maiñ kyā kahūñ dil se burā lage to sahī
maiñ hañs ke miltī rahī sab se aaj mahfil meñ
ye soch kar ke chalo aaj ye jale to sahī
maiñ bhuul jā.ūñgī us kī jafāoñ ko 'anjum'
malāl us ko bhī hai ye pata chale to sahī
rula rula hi ke mujh se chalo mile to sahi
wo mujh ko chahta hai ye mujhe lage to sahi
main us ki baaton ka aaKHir yaqin kyon na karun
wo ham-kalam ho mujh se nazar mile to sahi
wo mehrban ho mujh par ye ho to sakta hai
magar ye harf-e-guzarish kabhi khule to sahi
hamare zaKHm ko hai KHud hi indimal ka shauq
wo narm lahja liye is taraf baDhe to sahi
kabhi kabhi to bahut wo bura laga hai mujhe
magar main kya kahun dil se bura lage to sahi
main hans ke milti rahi sab se aaj mahfil mein
ye soch kar ke chalo aaj ye jale to sahi
main bhul jaungi us ki jafaon ko 'anjum'
malal us ko bhi hai ye pata chale to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.