ruswa kiya shuur ko danai chhin li
rusvā kiyā shu'ūr ko dānā.ī chhīn lī
jehl-e-ḳhirad ne āñkhoñ se bīnā.ī chhīn lī
sāñsoñ meñ gūñjtī huī shahnā.ī chhīn lī
shahroñ ne mujh se gaañv kī purvā.ī chhīn lī
is tarah bhī badalte haiñ nazroñ ke zāviye
ḳhud ḳhvāb hī ne ḳhvāb kī ra.anā.ī chhīn lī
rūhoñ kī muflisī ne bahar-hāl ek din
chehra-ā.inoñ se ḳhū-e-shanāsā.ī chhīn lī
hoñT ā.inoñ ke yūñhī nahīñ haiñ sile hue
arzānī-e-jamāl ne goyā.ī chhīn lī
fitrat kā ye tazād ajīb-o-ġharīb hai
tanhā.ī dene vaale ne tanhā.ī chhīn lī
ruswa kiya shu'ur ko danai chhin li
jehl-e-KHirad ne aankhon se binai chhin li
sanson mein gunjti hui shahnai chhin li
shahron ne mujh se ganw ki purwai chhin li
is tarah bhi badalte hain nazron ke zawiye
KHud KHwab hi ne KHwab ki ranai chhin li
ruhon ki muflisi ne bahar-haal ek din
chehra-ainon se KHu-e-shanasai chhin li
honT aainon ke yunhi nahin hain sile hue
arzani-e-jamal ne goyai chhin li
fitrat ka ye tazad ajib-o-gharib hai
tanhai dene wale ne tanhai chhin li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.