ruswai ka bhi hum par ilzam zaruri tha
rusvā.ī kā bhī ham par ilzām zarūrī thā
jo dil ne kamāyā hai vo naam zarūrī thā
marte hī rahe paiham aur jī ke nahīñ dekhā
ham bhuul ga.e shabnam jo kaam zarūrī thā
kartā jo vazāhat vo ham zinda kahāñ rahte
bātoñ meñ jo thā us kī ib.hām zarūrī thā
zahr-e-ġham-e-duniyā ke tiryāk kī ḳhātir se
zahar-e-ġham-e-jānāñ kā ik jaam zarūrī thā
ik umr diyā is ne jo saath vo kaafī hai
ab thak sā gayā thā dil ārām zarūrī thā
ruswai ka bhi hum par ilzam zaruri tha
jo dil ne kamaya hai wo nam zaruri tha
marte hi rahe paiham aur ji ke nahin dekha
hum bhul gae shabnam jo kaam zaruri tha
karta jo wazahat wo hum zinda kahan rahte
baaton mein jo tha us ki ibham zaruri tha
zahr-e-gham-e-duniya ke tiryak ki KHatir se
zahar-e-gham-e-jaanan ka ek jam zaruri tha
ek umr diya is ne jo sath wo kafi hai
ab thak sa gaya tha dil aaram zaruri tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.