ruswai ke KHayal se Dar to nahin gae
rusvā.ī ke ḳhayāl se Dar to nahīñ ga.e
vo rāsta badal ke guzar to nahīñ ga.e
tark-e-ta.alluqāt se tum ko bhī kyā milā
ham bhī ġham-e-firāq se mar to nahīñ ga.e
ham pe taras na khā hameñ lāchār dekh kar
ham TuuT bhar ga.e haiñ bikhar to nahīñ ga.e
dariyā ke paar utar ke jalā.ī haiñ kashtiyāñ
nākām lauT ke kabhī ghar to nahīñ ga.e
daur-e-ḳhizāñ meñ sabza-o-shabnam kahāñ 'zafar'
palkoñ pe aa ke ashk Thahar to nahīñ ga.e
ruswai ke KHayal se Dar to nahin gae
wo rasta badal ke guzar to nahin gae
tark-e-talluqat se tum ko bhi kya mila
hum bhi gham-e-firaq se mar to nahin gae
hum pe taras na kha hamein lachaar dekh kar
hum TuT bhar gae hain bikhar to nahin gae
dariya ke par utar ke jalai hain kashtiyan
nakaam lauT ke kabhi ghar to nahin gae
daur-e-KHizan mein sabza-o-shabnam kahan 'zafar'
palkon pe aa ke ashk Thahar to nahin gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.