ruswaiyan hon lakh magar chahiye mujhe
rusvā.iyāñ hoñ laakh magar chāhiye mujhe
is shahr-e-dil-navāz meñ ghar chāhiye mujhe
mujh ko tire jamāl-e-nazar kī hai justujū
jugnū na kahkashāñ na qamar chāhiye mujhe
is daur-e-pur-fitan meñ jo dil ko milā sake
duniyā meñ koī aisā bashar chāhiye mujhe
jitnā hai mere bas meñ vo sab kuchh karūñgā maiñ
thoḌā sā terā husn-e-nazar chāhiye mujhe
tere laboñ se ek tabassum kā hai savāl
maiñ jā rahā huuñ raḳht-e-safar chāhiye mujhe
jitnā bhī merā haq hai mujhe sab na do magar
kuchh to mire 'amal kā samar chāhiye mujhe
kartā rahūñ hamesha tirā naam sar-buland
ik sar kaTe to dūsrā sar chāhiye mujhe
'nāzir' sahūñgā kis tarah sahrā kī tez dhuup
rāhoñ meñ sāya-dār shajar chāhiye mujhe
ruswaiyan hon lakh magar chahiye mujhe
is shahr-e-dil-nawaz mein ghar chahiye mujhe
mujh ko tere jamal-e-nazar ki hai justuju
jugnu na kahkashan na qamar chahiye mujhe
is daur-e-pur-fitan mein jo dil ko mila sake
duniya mein koi aisa bashar chahiye mujhe
jitna hai mere bas mein wo sab kuchh karunga main
thoDa sa tera husn-e-nazar chahiye mujhe
tere labon se ek tabassum ka hai sawal
main ja raha hun raKHt-e-safar chahiye mujhe
jitna bhi mera haq hai mujhe sab na do magar
kuchh to mere 'amal ka samar chahiye mujhe
karta rahun hamesha tera nam sar-buland
ek sar kaTe to dusra sar chahiye mujhe
'nazir' sahunga kis tarah sahra ki tez dhup
rahon mein saya-dar shajar chahiye mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.