ru-ba-ru hon aap to sab hota hai
rū-ba-rū hoñ aap to sab hotā hai
ishq kā iz.hār phir kab hotā hai
ḳhāmoshī tum ye samajhte hī nahīñ
ishq ho to aañkh meñ lab hotā hai
shaad ho ye dil munavvar ho nazar
muskurānā vo tirā jab hotā hai
aap jab mujh ko nahīñ aate nazar
kitnā vīrāñ shahr ye tab hotā hai
dekh kar ham sochte haiñ bas tumheñ
phir kahāñ kuchh aur matlab hotā hai
saath tum 'betāb' jab bhī hote ho
aisā lagtā hai vahīñ rab hotā hai
ru-ba-ru hon aap to sab hota hai
ishq ka izhaar phir kab hota hai
KHamoshi tum ye samajhte hi nahin
ishq ho to aankh mein lab hota hai
shad ho ye dil munawwar ho nazar
muskurana wo tera jab hota hai
aap jab mujh ko nahin aate nazar
kitna viran shahr ye tab hota hai
dekh kar hum sochte hain bas tumhein
phir kahan kuchh aur matlab hota hai
sath tum 'betab' jab bhi hote ho
aisa lagta hai wahin rab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.