ru-ba-ru phir se uski aankhen thin
rū-ba-rū phir se us kī āñkheñ thiiñ
phir se mushkil meñ ye mirā dil thā
us se iz.hār kar sakī na maiñ
jo mirī shā.irī kā hāsil thā
jo masīhā thā merī bastī meñ
ik vahī shaḳhs merā qātil thā
us kī āñkhoñ kā dosh thā saarā
ruuh chhalnī thī dil bhī ghā.il thā
us ko fursat nahīñ thī sunñe kī
haal kahnā bhī us se mushkil thā
na maiñ bolī na us ne pūchhā kuchh
maiñ bhī ziddī thī vo bhī pāgal thā
dil pe rakhtā vo haath sun letā
vo mirī dhaḌkanoñ meñ shāmil thā
nīm-shab meñ thā vo duāoñ meñ
tar-ba-tar āñsuoñ meñ āñchal thā
merī āñkheñ bhī paḌh sakā na vo
haa.e vo shaḳhs kitnā pāgal thā
us ke hāthoñ meñ thī shifā lekin
dard merā hī ab musalsal thā
phir mirā mas.ala hī aisā thā
merī mushkil kā ek hī hal thā
bhuul jaatī use 'kañval' lekin
bhuul jaanā bhī us ko mushkil thā
ru-ba-ru phir se us ki aankhen thin
phir se mushkil mein ye mera dil tha
us se izhaar kar saki na main
jo meri shairi ka hasil tha
jo masiha tha meri basti mein
ek wahi shaKHs mera qatil tha
us ki aankhon ka dosh tha sara
ruh chhalni thi dil bhi ghail tha
us ko fursat nahin thi sunne ki
haal kahna bhi us se mushkil tha
na main boli na us ne puchha kuchh
main bhi ziddi thi wo bhi pagal tha
dil pe rakhta wo hath sun leta
wo meri dhaDkanon mein shamil tha
nim-shab mein tha wo duaon mein
tar-ba-tar aansuon mein aanchal tha
meri aankhen bhi paDh saka na wo
hae wo shaKHs kitna pagal tha
us ke hathon mein thi shifa lekin
dard mera hi ab musalsal tha
phir mera masala hi aisa tha
meri mushkil ka ek hi hal tha
bhul jati use 'kanwal' lekin
bhul jaana bhi us ko mushkil tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.