ru-e-zeba ke parastar nahin ho sakte
rū-e-zebā ke parastār nahīñ ho sakte
jo mohabbat meñ giraftār nahīñ ho sakte
tū jo chāhe to hameñ dār-o-rasan tak le chal
ham magar itne gunahgār nahīñ ho sakte
ḳhud-parastī ho rag-o-pai meñ sarāyat jin ke
qaum-o-millat ke vo me'mār nahīñ ho sakte
kuchh na kuchh un meñ bhī ḳhuddārī ke jazbe hoñge
mere dushman pas-e-dīvār nahīñ ho sakte
muskurāte hue har zulm tirā sah leñge
ham magar desh ke ġhaddār nahīñ ho sakte
ye alag baat tumheñ chaah rahe haiñ phir bhī
ham tirī shab ke ḳharīdār nahīñ ho sakte
ḳhud jo karte nahīñ aslāf kī 'izzat 'nāzir'
vo kabhī sāhib-e-kirdār nahīñ ho sakte
ru-e-zeba ke parastar nahin ho sakte
jo mohabbat mein giraftar nahin ho sakte
tu jo chahe to hamein dar-o-rasan tak le chal
hum magar itne gunahgar nahin ho sakte
KHud-parasti ho rag-o-pai mein sarayat jin ke
qaum-o-millat ke wo me'mar nahin ho sakte
kuchh na kuchh un mein bhi KHuddari ke jazbe honge
mere dushman pas-e-diwar nahin ho sakte
muskuraate hue har zulm tera sah lenge
hum magar desh ke ghaddar nahin ho sakte
ye alag baat tumhein chah rahe hain phir bhi
hum teri shab ke KHaridar nahin ho sakte
KHud jo karte nahin aslaf ki 'izzat 'nazir'
wo kabhi sahib-e-kirdar nahin ho sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.