ru-e-zeba ko dikhate hain chale jate hain
rū-e-zebā ko dikhāte haiñ chale jaate haiñ
kyuuñ nazar mujh se milāte haiñ chale jaate haiñ
hasrat-e-dil mirī rah jaatī hai dil hī meñ mire
farz kyā aise nibhāte haiñ chale jaate haiñ
aap se aisī tavaqqo.a na kabhī thī mujh ko
sham-e-ummīd bujhāte haiñ chale jaate haiñ
kuchh to ādāb-e-mohabbat kā kareñ pas-o-lihāz
kyā yūñhī dil ko lagāte haiñ chale jaate haiñ
chāragar haiñ to kareñ aa ke mirī chāragarī
dard-e-dil aur baḌhāte haiñ chale jaate haiñ
haar hī haar ho jaise mirī qismat meñ likhī
jiit kā jashn manāte haiñ chale jaate haiñ
tursh-rūī kabhī hotī nahīñ itnī achchhī
aate hī rañg jamāte haiñ chale jaate haiñ
yūñhī ghuT ghuT ke marūñ hijr meñ kab tak un ke
maut vo merī bulāte haiñ chale jaate haiñ
de ke darvāza-e-dil par mire aksar dastak
niiñd rātoñ kī uḌāte haiñ chale jaate haiñ
aap kā kyā hai jaleñge to jaleñge ham log
aap to aag lagāte haiñ chale jaate haiñ
raushnī aap kā darkār hai shāyad us se
ḳhāna-e-dil ko jalāte haiñ chale jaate haiñ
aap ko dil hai milānā to milā.eñ ba-ḳhushī
duur se haath milāte haiñ chale jaate haiñ
is se behtar thā ki aate na abhī mere paas
aap kuchh der ko aate haiñ chale jaate haiñ
aap se dil ko lagānā hai sazā mere liye
ḳhūn-e-dil merā jalāte haiñ chale jaate haiñ
kījiye kuchh to mohabbat kā mirī pas-o-lihāz
kyā isī tarah se aate haiñ chale jaate haiñ
aap kā farz hai apnī kahīñ merī bhī suneñ
hāl-e-dil apnā sunāte haiñ chale jaate haiñ
aap se kis ne kahā thā ki abhī aa jaa.eñ
aa ke 'barqī' ko satāte haiñ chale jaate haiñ
ru-e-zeba ko dikhate hain chale jate hain
kyun nazar mujh se milate hain chale jate hain
hasrat-e-dil meri rah jati hai dil hi mein mere
farz kya aise nibhate hain chale jate hain
aap se aisi tawaqqoa na kabhi thi mujh ko
sham-e-ummid bujhate hain chale jate hain
kuchh to aadab-e-mohabbat ka karen pas-o-lihaz
kya yunhi dil ko lagate hain chale jate hain
chaaragar hain to karen aa ke meri chaaragari
dard-e-dil aur baDhate hain chale jate hain
haar hi haar ho jaise meri qismat mein likhi
jit ka jashn manate hain chale jate hain
tursh-rui kabhi hoti nahin itni achchhi
aate hi rang jamate hain chale jate hain
yunhi ghuT ghuT ke marun hijr mein kab tak un ke
maut wo meri bulate hain chale jate hain
de ke darwaza-e-dil par mere aksar dastak
nind raaton ki uDate hain chale jate hain
aap ka kya hai jalenge to jalenge hum log
aap to aag lagate hain chale jate hain
raushni aap ka darkar hai shayad us se
KHana-e-dil ko jalate hain chale jate hain
aap ko dil hai milana to milaen ba-KHushi
dur se hath milate hain chale jate hain
is se behtar tha ki aate na abhi mere pas
aap kuchh der ko aate hain chale jate hain
aap se dil ko lagana hai saza mere liye
KHun-e-dil mera jalate hain chale jate hain
kijiye kuchh to mohabbat ka meri pas-o-lihaz
kya isi tarah se aate hain chale jate hain
aap ka farz hai apni kahin meri bhi sunen
haal-e-dil apna sunate hain chale jate hain
aap se kis ne kaha tha ki abhi aa jaen
aa ke 'barqi' ko satate hain chale jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.