rudad-e-alam kis se kahun tere siwa main
rūdād-e-alam kis se kahūñ tere sivā maiñ
dar par to kisī ġhair ke jaane se rahā maiñ
us vaqt mire sāmne kyā kyā nahīñ aaya
jab tazkiya-e-nafas kī rāhoñ pe chalā maiñ
kyoñ jaa.e nazar apne sivā aur kisī par
mujh se to burā koī nahīñ sab se burā maiñ
kis muñh se kahūñ maiñ ki sazā-vār-e-karam huuñ
jab apne kiye par kabhī nādim na huā maiñ
is daur-e-taraqqī kā bhalā ho ki 'ziyā' aaj
aḳhlāq se ausāf-e-hamīda se gayā maiñ
rudad-e-alam kis se kahun tere siwa main
dar par to kisi ghair ke jaane se raha main
us waqt mere samne kya kya nahin aaya
jab tazkiya-e-nafas ki rahon pe chala main
kyon jae nazar apne siwa aur kisi par
mujh se to bura koi nahin sab se bura main
kis munh se kahun main ki saza-war-e-karam hun
jab apne kiye par kabhi nadim na hua main
is daur-e-taraqqi ka bhala ho ki 'ziya' aaj
aKHlaq se ausaf-e-hamida se gaya main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.