rudad mujhse dil ki sunai nahin gai
rūdād mujh se dil kī sunā.ī nahīñ ga.ī
is vāste ragoñ se duhā.ī nahīñ ga.ī
ik ḳhvāb to uThā liyā maiñ ne churā ke aañkh
ta.abīr us kī mujh se uThā.ī nahīñ ga.ī
go hijr puure shahr kī chaukhaT se uTh gayā
lekin mirī galī se judā.ī nahīñ ga.ī
patthar banā huā thā maiñ apne vajūd meñ
dariyā se merī laash uThā.ī nahīñ ga.ī
pushte maiñ bāñdhtā rahā apne vajūd par
lekin mire badan kī kaTā.ī nahīñ ga.ī
itnā hī farq hai mire aur qais meñ huzūr
bas mujh se apnī ḳhaak uḌaa.ī nahīñ ga.ī
chehre pe garche tū ne taġhāful sajā liyā
āñkhoñ se dil kī baat chhupā.ī nahīñ ga.ī
us bevafā se tark-e-ta.alluq to kar liyā
tasvīr us kī mujh se jalā.ī nahīñ ga.ī
rudad mujh se dil ki sunai nahin gai
is waste ragon se duhai nahin gai
ek KHwab to uTha liya main ne chura ke aankh
tabir us ki mujh se uThai nahin gai
go hijr pure shahr ki chaukhaT se uTh gaya
lekin meri gali se judai nahin gai
patthar bana hua tha main apne wajud mein
dariya se meri lash uThai nahin gai
pushte main bandhta raha apne wajud par
lekin mere badan ki kaTai nahin gai
itna hi farq hai mere aur qais mein huzur
bas mujh se apni KHak uDai nahin gai
chehre pe garche tu ne taghaful saja liya
aankhon se dil ki baat chhupai nahin gai
us bewafa se tark-e-talluq to kar liya
taswir us ki mujh se jalai nahin gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.