ruh ka karb hai jine ki saza hone ko
ruuh kā karb hai jiine kī sazā hone ko
ham bhī haiñ terī tarah ḳhud se judā hone ko
laakh ho nashtar-e-ġham sīna-kushā hone ko
merā dāman nahīñ phūloñ kī qabā hone ko
zauq-e-parvāz sañvartā hai giraftārī se
ham tah-e-dām nahīñ aa.e rihā hone ko
aap qaa.il hoñ jafā ke to yahī kyā kam hai
kaun kahtā hai pashīmān-e-jafā hone ko
talḳhī-e-kām-o-dahan aa ga.ī dil tak saaqī
der kitnī hai dar-e-mai-kadā vā hone ko
maslak-e-dīda-varāñ ahl-e-havas kyā jāneñ
nā-rasī kahte haiñ manzil pe rasā hone ko
kis qadar garm hai bāzār-e-siyāsat-kārī
der lagtī nahīñ hañgāma bapā hone ko
husn ġhāfil nahīñ arbāb-e-vafā se lekin
koī to baat ho shāyān-e-jafā hone ko
hil na jaa.e kahīñ buniyād zamīn-e-dil kī
ġham kā tūfān hai ab had se sivā hone ko
ḳhafagī bhī tirī az-rāh-e-ināyat hai magar
log kyā samjheñge is tarah ḳhafā hone ko
muddatoñ ba.ad to ḳhvāb-e-shab-e-ishrat TuuTā
vaqt darkār hai ab hosh bajā hone ko
'shauq' zanjīr-e-anāsir mujhe kyā rokegī
hukm kī der hai zindāñ se rihā hone ko
ruh ka karb hai jine ki saza hone ko
hum bhi hain teri tarah KHud se juda hone ko
lakh ho nashtar-e-gham sina-kusha hone ko
mera daman nahin phulon ki qaba hone ko
zauq-e-parwaz sanwarta hai giraftari se
hum tah-e-dam nahin aae riha hone ko
aap qail hon jafa ke to yahi kya kam hai
kaun kahta hai pashiman-e-jafa hone ko
talKHi-e-kaam-o-dahan aa gai dil tak saqi
der kitni hai dar-e-mai-kada wa hone ko
maslak-e-dida-waran ahl-e-hawas kya jaanen
na-rasi kahte hain manzil pe rasa hone ko
kis qadar garm hai bazar-e-siyasat-kari
der lagti nahin hangama bapa hone ko
husn ghafil nahin arbab-e-wafa se lekin
koi to baat ho shayan-e-jafa hone ko
hil na jae kahin buniyaad zamin-e-dil ki
gham ka tufan hai ab had se siwa hone ko
KHafagi bhi teri az-rah-e-inayat hai magar
log kya samjhenge is tarah KHafa hone ko
muddaton baad to KHwab-e-shab-e-ishrat TuTa
waqt darkar hai ab hosh baja hone ko
'shauq' zanjir-e-anasir mujhe kya rokegi
hukm ki der hai zindan se riha hone ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.