ruh ke zaKHm se chehre pe tawanai hai
ruuh ke zaḳhm se chehre pe tavānā.ī hai
be-hisī shiddat-e-ehsās kī gahrā.ī hai
har nafas tishnagī-e-dard pazīrā.ī hai
dil jise kahte haiñ ik mahshar-e-tanhā.ī hai
ḳhud-farāmosh huuñ maiñ ishq farāmosh nahīñ
bhūltā tujh ko to kahtā tirī yaad aa.ī hai
vaqt kā jabr hai majbūri-e-dil se bhī sivā
varna asl kise tāb-e-shakebā.ī hai
thī nazar jalva hī jalva tire nazzāre tak
ab nazar kyā hai faqat tohmat-e-bīnā.ī hai
hañste hañste kabhī aañsū nikal aa jaate the
pī ga.e ab ka.ī aañsū to hañsī aa.ī hai
kar ga.ī shahr kī tahzīb taraqqī kitnī
qātiloñ ko bhī yahāñ nāz-e-masīhā.ī hai
ḳhush-mizājī se na khā ahl-e-chaman kī dhokā
dil se begāne haiñ chehroñ se shanāsā.ī hai
daad de kaun mirī be-sar-o-sāmānī kī
har koī apnī tabāhī kā tamāshā.ī hai
sabr hī sabr hai dastūr-e-mohabbat kī shaañ
jabr-e-mahbūb pe ā.īn-e-zuleḳhā.ī hai
ruh ke zaKHm se chehre pe tawanai hai
be-hisi shiddat-e-ehsas ki gahrai hai
har nafas tishnagi-e-dard pazirai hai
dil jise kahte hain ek mahshar-e-tanhai hai
KHud-faramosh hun main ishq faramosh nahin
bhulta tujh ko to kahta teri yaad aai hai
waqt ka jabr hai majburi-e-dil se bhi siwa
warna asl kise tab-e-shakebai hai
thi nazar jalwa hi jalwa tere nazzare tak
ab nazar kya hai faqat tohmat-e-binai hai
hanste hanste kabhi aansu nikal aa jate the
pi gae ab kai aansu to hansi aai hai
kar gai shahr ki tahzib taraqqi kitni
qatilon ko bhi yahan naz-e-masihai hai
KHush-mizaji se na kha ahl-e-chaman ki dhoka
dil se begane hain chehron se shanasai hai
dad de kaun meri be-sar-o-samani ki
har koi apni tabahi ka tamashai hai
sabr hi sabr hai dastur-e-mohabbat ki shan
jabr-e-mahbub pe aain-e-zuleKHai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.