ruh ki pyas ko qatre ka dilasa de de
ruuh kī pyaas ko qatre kā dilāsa de de
maiñ ne kab tujh se kahā hai mujhe dariyā de de
lazzat-e-dard se mahrūm na ho jā.ūñ kahīñ
vaqt se kahnā mujhe phir koī sadqa de de
ab to is ā.ina-ḳhāne meñ bhī dam ghuTtā hai
mere mālik mujhe ik dūsrā chehra de de
zindagī tujh se maiñ kuchh aur na māñgūñgī agar
merā bachpan mirī sakhiyāñ mirī guḌiyā de de
khokhle rishtoñ kī is bhiiḌ meñ tanhā huuñ bahut
ab mujhe merā koī chāhne vaalā de de
'sham'' ḳhud se mirī pahchān to kuchh rah jaa.e
tū mire haal ko maazī kā havāla de de
ruh ki pyas ko qatre ka dilasa de de
main ne kab tujh se kaha hai mujhe dariya de de
lazzat-e-dard se mahrum na ho jaun kahin
waqt se kahna mujhe phir koi sadqa de de
ab to is aaina-KHane mein bhi dam ghuTta hai
mere malik mujhe ek dusra chehra de de
zindagi tujh se main kuchh aur na mangungi agar
mera bachpan meri sakhiyan meri guDiya de de
khokhle rishton ki is bhiD mein tanha hun bahut
ab mujhe mera koi chahne wala de de
'sham KHud se meri pahchan to kuchh rah jae
tu mere haal ko mazi ka hawala de de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.