ruh ko meri tawajjoh chahiye
ruuh ko merī tavajjoh chāhiye
zaḳhm se gahrī tavajjoh chāhiye
ghar kī hālat dekh kar lagtā nahīñ
ab ise koī tavajjoh chāhiye
jam ga.ī hai kaa.ī sī dahlīz par
tere qadmoñ kī tavajjoh chāhiye
pahle mujh ko chāhiye thā tū magar
ab faqat terī tavajjoh chāhiye
ek chashm-e-tar kahīñ gum ho ga.ī
ai mirī miTTī tavajjoh chāhiye
Dūbte sūraj ke ye alfāz the
ghup añdhere kī tavajjoh chāhiye
be-ḳhayālī tū kahāñ hai āj-kal
tujh ko bhī thoḌī tavajjoh chāhiye
kar rahe haiñ aap dīvāna jise
us ko pahle hī tavajjoh chāhiye
ruh ko meri tawajjoh chahiye
zaKHm se gahri tawajjoh chahiye
ghar ki haalat dekh kar lagta nahin
ab ise koi tawajjoh chahiye
jam gai hai kai si dahliz par
tere qadmon ki tawajjoh chahiye
pahle mujh ko chahiye tha tu magar
ab faqat teri tawajjoh chahiye
ek chashm-e-tar kahin gum ho gai
ai meri miTTi tawajjoh chahiye
Dubte suraj ke ye alfaz the
ghup andhere ki tawajjoh chahiye
be-KHayali tu kahan hai aaj-kal
tujh ko bhi thoDi tawajjoh chahiye
kar rahe hain aap diwana jise
us ko pahle hi tawajjoh chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.