ruh ko qaid-e-ta’alluq se bhi aazad kiya
ruuh ko qaid-e-ta’alluq se bhī āzād kiyā
ham se jis tarh banā ham ne tumheñ yaad kiyā
kabhī kā'ba to kabhī dair ko ābād kiyā
ham ne har rang meñ har tarh unheñ yaad kiyā
har nafas baar thā mere liye hastī kā vajūd
chalo achchhā kiyā tum ne ise barbād kiyā
maiñ samajhtā huuñ vo koshish hai miTāne kī mirī
aap ne chupke se jo charḳh se irshād kiyā
ulTā hai 'ishq kā aa.iin ḳhudā terī panāh
vo ḳhafā baiThe haiñ kyoñ tū ne mujhe yaad kiyā
tum na pursish ke liye aa.e zamāna aayā
marte marte tumheñ 'rāfat' ne bahut yaad kiyā
ruh ko qaid-e-ta’alluq se bhi aazad kiya
hum se jis tarh bana hum ne tumhein yaad kiya
kabhi ka'ba to kabhi dair ko aabaad kiya
hum ne har rang mein har tarh unhen yaad kiya
har nafas bar tha mere liye hasti ka wajud
chalo achchha kiya tum ne ise barbaad kiya
main samajhta hun wo koshish hai miTane ki meri
aap ne chupke se jo charKH se irshad kiya
ulTa hai 'ishq ka aain KHuda teri panah
wo KHafa baiThe hain kyon tu ne mujhe yaad kiya
tum na pursish ke liye aae zamana aaya
marte marte tumhein 'rafat' ne bahut yaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.