ruh mein dard ka paiwand lagane wala
ruuh meñ dard kā paivand lagāne vaalā
terā har ḳhvāb hai palkoñ ko jalāne vaalā
ik tasavvur ke sivā raat ke sannāTe meñ
kaun hai band kivāḌoñ ko hilāne vaalā
merī hasrat hai salīqe se koī tiir chale
kyā yahāñ koī nahīñ Thiik nishāne vaalā
zid hai qātil ko use baḳhsh diyā jā.egā
jurm taslīm kare daar pe jaane vaalā
aaj kuchh dard kī shiddat meñ kamī hai shāyad
so gayā hai mire zaḳhmoñ kā jagāne vaalā
mujh ko yuuñ paḌh ke sabhī bhuul ga.e haiñ 'anjum'
jaise maiñ huuñ koī kirdār fasāne vaalā
ruh mein dard ka paiwand lagane wala
tera har KHwab hai palkon ko jalane wala
ek tasawwur ke siwa raat ke sannaTe mein
kaun hai band kiwaDon ko hilane wala
meri hasrat hai saliqe se koi tir chale
kya yahan koi nahin Thik nishane wala
zid hai qatil ko use baKHsh diya jaega
jurm taslim kare dar pe jaane wala
aaj kuchh dard ki shiddat mein kami hai shayad
so gaya hai mere zaKHmon ka jagane wala
mujh ko yun paDh ke sabhi bhul gae hain 'anjum'
jaise main hun koi kirdar fasane wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.