ruh mein man ke dariche se koi jhank gaya
ruuh meñ man ke darīche se koī jhāñk gayā
zulf-e-ehsās meñ ḳhushbū kī kiran Taañk gayā
gard baiThī bhī na thī jhaḌ ke abhī talvoñ se
gard-bād uTh ke use jāniye kyoñ phāñk gayā
yā-rab us husn kī uryāniyāñ kaisī hoñgī
parda-e-gul meñ jise terā fusūñ Dhāñk gayā
kis ko bhā.īñ na miThāseñ mire armānoñ kī
kaun hālāt kī talḳhī ko idhar haañk gayā
jo bhī dar aaya mire fan kī tabassum-gah meñ
le ke saath apne ujāle kī madhur phāñk gayā
pāsh-pāsh aañkh meñ ā.īna huā kis lau kā
kaun añdhere meñ mah-o-kāhkashāñ Taañk gayā
chashm-e-sarsar meñ khaTaktā hai vo dīvāna jo kal
reg-e-sahrā pe kaf-e-pā ke nishāñ aañk gayā
ruh mein man ke dariche se koi jhank gaya
zulf-e-ehsas mein KHushbu ki kiran Tank gaya
gard baiThi bhi na thi jhaD ke abhi talwon se
gard-baad uTh ke use jaaniye kyon phank gaya
ya-rab us husn ki uryaniyan kaisi hongi
parda-e-gul mein jise tera fusun Dhank gaya
kis ko bhain na miThasen mere armanon ki
kaun haalat ki talKHi ko idhar hank gaya
jo bhi dar aaya mere fan ki tabassum-gah mein
le ke sath apne ujale ki madhur phank gaya
pash-pash aankh mein aaina hua kis lau ka
kaun andhere mein mah-o-kahkashan Tank gaya
chashm-e-sarsar mein khaTakta hai wo diwana jo kal
reg-e-sahra pe kaf-e-pa ke nishan aank gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.