Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ruh meri jis KHane mein hai us KHane ka kya hoga

Shahbaz Rizvi

ruh meri jis KHane mein hai us KHane ka kya hoga

Shahbaz Rizvi

MORE BYShahbaz Rizvi

    ruuh mirī jis ḳhāne meñ hai us ḳhāne kyā hogā

    maiñ to shahr chalā jā.ūñgā vīrāne kyā hogā

    tere sar ko duniyā vāloñ ke kāñdhe mil jā.eñge

    mere baare meñ bhī soch mire shāne kyā hogā

    duniyā likhne vaale ne bas duniyā likh ke chhoḌ diyā

    ab duniyā vaale socheñ is afsāne kyā hogā

    maut hameñ vāpas le jā.egī ye bas ḳhush-fahmī hai

    ham duniyā meñ aa to ga.e haiñ ghar jaane kyā hogā

    ek parinda aisā bhī hai jo ye sochā kartā hai

    jaal ke andar chhūT gayā jo us daane kyā hogā

    maiñ to Thiik huuñ lekin mere andar jo ye 'rizvī' hai

    aksar sochā kartā huuñ is dīvāne kyā hogā

    aur ziyāda ḳhud pe vahshat taarī mat kiije 'shahbāz'

    duniyā jo tai kartī hai us paimāne kyā hogā

    ruh meri jis KHane mein hai us KHane ka kya hoga

    main to shahr chala jaunga virane ka kya hoga

    tere sar ko duniya walon ke kandhe mil jaenge

    mere bare mein bhi soch mere shane ka kya hoga

    duniya likhne wale ne bas duniya likh ke chhoD diya

    ab duniya wale sochen is afsane ka kya hoga

    maut hamein wapas le jaegi ye bas KHush-fahmi hai

    hum duniya mein aa to gae hain ghar jaane ka kya hoga

    ek parinda aisa bhi hai jo ye socha karta hai

    jal ke andar chhuT gaya jo us dane ka kya hoga

    main to Thik hun lekin mere andar jo ye 'rizwi' hai

    aksar socha karta hun is diwane ka kya hoga

    aur ziyaada KHud pe wahshat tari mat kije 'shahbaz'

    duniya jo tai karti hai us paimane ka kya hoga

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now