ruh pahne ek badan se mar rahe hain
ruuh pahne ik badan se mar rahe haiñ
harf jo mere suḳhan se mar rahe haiñ
koī ḳhvāhish dil meñ jal kar mar ga.ī hai
aur ham us kī jalan se mar rahe haiñ
ḳhushbueñ jaane kyuuñ hijrat kar rahī haiñ
phuul jaane kis chubhan se mar rahe haiñ
maañg lo kuchh in se tum varna ye taare
TuuT kar yuuñ bhī gagan se mar rahe haiñ
jab se bāhar zehn se jiine lage haiñ
tab se andar apne man se mar rahe haiñ
hijr kī chīḳheñ dabā liiñ ham ne dil meñ
aur ab in kī ghuTan se mar rahe haiñ
jis ko shikva hai hamārī be-ruḳhī kā
ham usī ke apne-pan se mar rahe haiñ
ruh pahne ek badan se mar rahe hain
harf jo mere suKHan se mar rahe hain
koi KHwahish dil mein jal kar mar gai hai
aur hum us ki jalan se mar rahe hain
KHushbuen jaane kyun hijrat kar rahi hain
phul jaane kis chubhan se mar rahe hain
mang lo kuchh in se tum warna ye tare
TuT kar yun bhi gagan se mar rahe hain
jab se bahar zehn se jine lage hain
tab se andar apne man se mar rahe hain
hijr ki chiKHen daba lin hum ne dil mein
aur ab in ki ghuTan se mar rahe hain
jis ko shikwa hai hamari be-ruKHi ka
hum usi ke apne-pan se mar rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.