ruh pe kya kya zarb lage hain jism ki khincha-tani mein
ruuh pe kyā kyā zarb lage haiñ jism kī khīñchā-tānī meñ
ishq kā hāsil dekh rahe haiñ ham donoñ hairānī meñ
ek mirā ā.īna-ḳhāna ek tumhāre jism kī lau
ḳhauf-zada dil soch rahā hai aag lage kab paanī meñ
ham ko kyā ma.alūm thā us ne kyā kyā chhupā ke rakhā thā
ham ne dupaTTa khīñch liyā thā shāne se nādānī meñ
paise de kar jism ḳharīdo lekin ye ehsās rahe
bhuuk nihāñ hotī hai aksar jismoñ kī uryānī meñ
jigrī yaar ke saath jo rakhā tab mujh par ye raaz khulā
ḳhūbiyāñ kitnī poshīda haiñ mere dushman-e-jānī meñ
hoñToñ se is dard kī ḳhushbū aa kar jism meñ phail ga.ī
kitnā dard ikaTThā thā is ThanDī sī peshānī meñ
jald hī us ko nochne vaale mil kar jashn manāeñge
taaza taaza phuul khilā hai gadle gadle paanī meñ
ruh pe kya kya zarb lage hain jism ki khincha-tani mein
ishq ka hasil dekh rahe hain hum donon hairani mein
ek mera aaina-KHana ek tumhaare jism ki lau
KHauf-zada dil soch raha hai aag lage kab pani mein
hum ko kya malum tha us ne kya kya chhupa ke rakha tha
hum ne dupaTTa khinch liya tha shane se nadani mein
paise de kar jism KHarido lekin ye ehsas rahe
bhuk nihan hoti hai aksar jismon ki uryani mein
jigri yar ke sath jo rakha tab mujh par ye raaz khula
KHubiyan kitni poshida hain mere dushman-e-jaani mein
honTon se is dard ki KHushbu aa kar jism mein phail gai
kitna dard ikaTTha tha is ThanDi si peshani mein
jald hi us ko nochne wale mil kar jashn manaenge
taza taza phul khila hai gadle gadle pani mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.