ruh se tan ko chhupate kaise hain
ruuh se tan ko chhupāte kaise haiñ
phir vafā ḳhud se nibhāte kaise haiñ
kitnī lambī hotī hai ye zindagī
jaane log is ko bitāte kaise haiñ
kitnī tāqat kī zarūrat hai bhalā
ziist kā ye bojh uThāte kaise haiñ
dard kā imkāñ na ho kuchh is tarah
zaḳhm par marham lagāte kaise haiñ
in añdheroñ se guzar kar ḳhvāb ye
chashm tak phir aate jaate kaise haiñ
'ahad' bolo kyā tumheñ ma.alūm hai
rāsta apnā banāte kaise haiñ
ruh se tan ko chhupate kaise hain
phir wafa KHud se nibhate kaise hain
kitni lambi hoti hai ye zindagi
jaane log is ko bitate kaise hain
kitni taqat ki zarurat hai bhala
zist ka ye bojh uThate kaise hain
dard ka imkan na ho kuchh is tarah
zaKHm par marham lagate kaise hain
in andheron se guzar kar KHwab ye
chashm tak phir aate jate kaise hain
'ahad' bolo kya tumhein malum hai
rasta apna banate kaise hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.