ruh sulagti rakkhi hai aur sina jalta rakkha hai
ruuh sulagtī rakkhī hai aur siina jaltā rakkhā hai
us ne mujh ko lākhoñ insānoñ se achchhā rakkhā hai
tum raushan kar rakkho jitne hijr alaav mumkin hoñ
maiñ ne bhī apnī āñkhoñ ke pīchhe dariyā rakkhā hai
aañkh kahāñ hai ek aafat goyā rakkhī hai chehre par
dil kab hai mere pahlū meñ ek tamāshā rakkhā hai
jo mujh meñ khul kar hañstā aur sāvan-bhādoñ rotā thā
us bachche ko maiñ ne ab tak ḳhud meñ zinda rakkhā hai
jis din merī dhartī apnī chādar mujh par Dālegī
bas us din kī ḳhātir maiñ ne ḳhud ko zinda rakkhā hai
ḳhāk-basar phirtī haiñ jis meñ lailā.eñ din-rāt 'munīr'
maiñ ne apnī zā meñ ek aisā bhī sahrā rakkhā hai
ruh sulagti rakkhi hai aur sina jalta rakkha hai
us ne mujh ko lakhon insanon se achchha rakkha hai
tum raushan kar rakkho jitne hijr alaw mumkin hon
main ne bhi apni aankhon ke pichhe dariya rakkha hai
aankh kahan hai ek aafat goya rakkhi hai chehre par
dil kab hai mere pahlu mein ek tamasha rakkha hai
jo mujh mein khul kar hansta aur sawan-bhadon rota tha
us bachche ko main ne ab tak KHud mein zinda rakkha hai
jis din meri dharti apni chadar mujh par Dalegi
bas us din ki KHatir main ne KHud ko zinda rakkha hai
KHak-basar phirti hain jis mein lailaen din-raat 'munir'
main ne apni za mein ek aisa bhi sahra rakkha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.