rukhi roTi kama ke laya hun
rūkhī roTī kamā ke laayā huuñ
maiñ ki biivī ke sar kā saayā huuñ
ġhair ne kyoñ samajh liyā apnā
maiñ to apnoñ ko bhī parāyā huuñ
zulm kī fasl kaT ga.ī lekin
ek maiñ hī abhī baqāyā huuñ
ho ke majbūr bhuuk ke hāthoñ
shā.irī bechne pe aayā huuñ
bārhā jis ne mujh ko dhutkārā
aaj phir us se milne aayā huuñ
dost kī maañ jo maañ ke jaisī thī
ta.aziyat maiñ na karne paayā huuñ
aaj phir rizq kī talāsh meñ thā
phir se nākām lauT aayā huuñ
aaj beTī kā ghar basāyā hai
aaj phūle nahīñ samāyā huuñ
le uḌī mujh ko ek shahzādī
us kī āñkhoñ meñ yuuñ samāyā huuñ
merī harakat pe sab haiñ barham se
ahl-e-ḳhāna ko maiñ na bhāyā huuñ
ghar se jangal ko hijrateñ Thahrīñ
maiñ Thikāne pe apne aayā huuñ
aaj se mulk dushmanoñ kā 'rashīd'
rab ne chāhā to maiñ safāyā huuñ
rukhi roTi kama ke laya hun
main ki biwi ke sar ka saya hun
ghair ne kyon samajh liya apna
main to apnon ko bhi paraya hun
zulm ki fasl kaT gai lekin
ek main hi abhi baqaya hun
ho ke majbur bhuk ke hathon
shairi bechne pe aaya hun
barha jis ne mujh ko dhutkara
aaj phir us se milne aaya hun
dost ki man jo man ke jaisi thi
taziyat main na karne paya hun
aaj phir rizq ki talash mein tha
phir se nakaam lauT aaya hun
aaj beTi ka ghar basaya hai
aaj phule nahin samaya hun
le uDi mujh ko ek shahzadi
us ki aankhon mein yun samaya hun
meri harakat pe sab hain barham se
ahl-e-KHana ko main na bhaya hun
ghar se jangal ko hijraten Thahrin
main Thikane pe apne aaya hun
aaj se mulk dushmanon ka 'rashid'
rab ne chaha to main safaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.