rup kuchh aan-ban mein kuchh hai
ruup kuchh ān-bān meñ kuchh hai
aur maza is ke maan meñ kuchh hai
be-badal kah tujhe khaḌā sān.e.a
ye bhanak mere kaan meñ kuchh hai
karnā saḳhtī na Tuk samajhnā jaan
jaan mujh nā-tavān maiñ kuchh hai
ai musavvir shitāb ho ki abhī
us kā naqsha dhiyān meñ kuchh hai
hai ye abrū-kamāñ hadaf-andāz
tiir sā is kamān meñ kuchh hai
dhān-pāñ hai mizāj us kī to
aan meñ kuchh hai aan meñ kuchh hai
maan kā paan bhī ġhanīmat jaan
ab tavāzo jahān meñ kuchh hai
vo munāfiq hai aadmī jis ke
dil meñ kuchh hai bayān meñ kuchh hai
khol āñkheñ diloñ kī dekho to
lā-makāñ yā makān meñ kuchh hai
ġhair-e-ḳhāliq ke aur bhī logo
is zamīn-o-zamān meñ kuchh hai
us sivā hai to kuchh kaho baare
jis ke vahm-o-gumāñ meñ kuchh hai
dekhiyo 'azfarī' ko Tuk aur hī
ān-bān is javān meñ kuchh hai
rup kuchh aan-ban mein kuchh hai
aur maza is ke man mein kuchh hai
be-badal kah tujhe khaDa sanea
ye bhanak mere kan mein kuchh hai
karna saKHti na Tuk samajhna jaan
jaan mujh na-tawan main kuchh hai
ai musawwir shitab ho ki abhi
us ka naqsha dhiyan mein kuchh hai
hai ye abru-kaman hadaf-andaz
tir sa is kaman mein kuchh hai
dhan-pan hai mizaj us ki to
aan mein kuchh hai aan mein kuchh hai
man ka pan bhi ghanimat jaan
ab tawazo jahan mein kuchh hai
wo munafiq hai aadmi jis ke
dil mein kuchh hai bayan mein kuchh hai
khol aankhen dilon ki dekho to
la-makan ya makan mein kuchh hai
ghair-e-KHaliq ke aur bhi logo
is zamin-o-zaman mein kuchh hai
us siwa hai to kuchh kaho bare
jis ke wahm-o-guman mein kuchh hai
dekhiyo 'azfari' ko Tuk aur hi
aan-ban is jawan mein kuchh hai
- Book : غزل اس نے چھیڑی 2 (Pg. 122)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.