ruTh ke mujhse ghar ke dware baiThi hai
ruuTh ke mujh se ghar ke dvāre baiThī hai
gaal phulā kar pyāre pyāre baiThī hai
apne kamre meñ ḳhāmosh khaḌe haiñ ham
aur tanhā.ī baal sañvāre baiThī hai
chhūT rahā hai ummīdoñ kā dāman ab
nā-ummīdī paañv pasāre baiThī hai
sochā thā bāhar khāne par jā.eñge
par vo muuñg kī daal baghāre baiThī hai
chup baiThe haiñ rail kī khiḌkī se lag kar
aur udāsī saath hamāre baiThī hai
baiThe haiñ chup-chāp akele ham is paar
ik duniyā us paar kināre baiThī hai
ruTh ke mujh se ghar ke dware baiThi hai
gal phula kar pyare pyare baiThi hai
apne kamre mein KHamosh khaDe hain hum
aur tanhai baal sanware baiThi hai
chhuT raha hai ummidon ka daman ab
na-ummidi panw pasare baiThi hai
socha tha bahar khane par jaenge
par wo mung ki dal baghaare baiThi hai
chup baiThe hain rail ki khiDki se lag kar
aur udasi sath hamare baiThi hai
baiThe hain chup-chap akele hum is par
ek duniya us par kinare baiThi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.