ruTh sakti ho meri jaan laDai to nahin
ruuTh saktī ho mirī jaan laḌā.ī to nahīñ
maiñ ne kangan tirā māñgā hai kalā.ī to nahīñ
aañkh bhar aa.ī tirā dekh ke hañstā chehra
ye mohabbat kī mirī pahlī kamā.ī to nahīñ
qaid-ḳhāne meñ hai kyoñ aaj sadā-e-mātam
mere sayyād mirī aaj rihā.ī to nahīñ
tere har jurm pe sab Daal rahe haiñ parda
hākim-e-vaqt talak terī rasā.ī to nahīñ
merī ḳhushiyoñ kā mahal TuuT ke girtā kyoñ hai
ai mire yaar tirī aaj sagā.ī to nahīñ
rāt-bhar niiñd mujhe aaj nahīñ aa.ī hai
tum ne tasvīr mirī phir se chhupā.ī to nahīñ
itnī shahnā.iyāñ kyoñ guuñj rahī haiñ mujh meñ
dil kī dahlīz se phir koī vidā’ī to nahīñ
kyoñ havā ham ko samajhne lagī dushman ai dil
ham diye bechte phirte haiñ salā.ī to nahīñ
ruTh sakti ho meri jaan laDai to nahin
main ne kangan tera manga hai kalai to nahin
aankh bhar aai tera dekh ke hansta chehra
ye mohabbat ki meri pahli kamai to nahin
qaid-KHane mein hai kyon aaj sada-e-matam
mere sayyaad meri aaj rihai to nahin
tere har jurm pe sab Dal rahe hain parda
hakim-e-waqt talak teri rasai to nahin
meri KHushiyon ka mahal TuT ke girta kyon hai
ai mere yar teri aaj sagai to nahin
raat-bhar nind mujhe aaj nahin aai hai
tum ne taswir meri phir se chhupai to nahin
itni shahnaiyan kyon gunj rahi hain mujh mein
dil ki dahliz se phir koi wida’i to nahin
kyon hawa hum ko samajhne lagi dushman ai dil
hum diye bechte phirte hain salai to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.