ruTha hua hai kab se manane ko aae hain
rūThā huā hai kab se manāne ko aa.e haiñ
uTh ai 'amīr-imām' bulāne ko aa.e haiñ
dā'vā nahīñ ki lā.eñge naddī nikāl kar
sahrā meñ sirf ḳhaak uḌāne ko aa.e haiñ
is baar rok le ki tire āstāñ pe ham
vāpas kabhī na lauT ke aane ko aa.e haiñ
aisā nahīñ ki zaḳhm lage haiñ faqat hameñ
ham se bhī chand zaḳhm zamāne ko aa.e haiñ
yaaro baḌā 'ajīb latīfa hai zindagī
aao suno ki hañsne-hañsāne ko aa.e haiñ
aa.e haiñ is galī meñ ki vo yaad aa sake
yā'nī use bhī aaj bhulāne ko aa.e haiñ
kyā thak ga.ī havā bhī ki ab tak nahīñ chalī
ye āḳhirī charāġh jalāne ko aa.e haiñ
shā.ista ḳhāmushī ho mubārak huzūr ko
duniyā meñ ham to shor machāne ko aa.e haiñ
maanā paḌī haiñ aur bhī lāsheñ paḌī raheñ
ham to bas apnī laash uThāne ko aa.e haiñ
ruTha hua hai kab se manane ko aae hain
uTh ai 'amir-imam' bulane ko aae hain
da'wa nahin ki laenge naddi nikal kar
sahra mein sirf KHak uDane ko aae hain
is bar rok le ki tere aastan pe hum
wapas kabhi na lauT ke aane ko aae hain
aisa nahin ki zaKHm lage hain faqat hamein
hum se bhi chand zaKHm zamane ko aae hain
yaro baDa 'ajib latifa hai zindagi
aao suno ki hansne-hansane ko aae hain
aae hain is gali mein ki wo yaad aa sake
ya'ni use bhi aaj bhulane ko aae hain
kya thak gai hawa bhi ki ab tak nahin chali
ye aaKHiri charagh jalane ko aae hain
shaista KHamushi ho mubarak huzur ko
duniya mein hum to shor machane ko aae hain
mana paDi hain aur bhi lashen paDi rahen
hum to bas apni lash uThane ko aae hain
- Book : Subh Bakhair Zindagi (Pg. 43)
- Author :Ameer Imam
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.