ruThe hue ki apne zara ab manae zulf
rūThe hue ki apne zarā ab manā.e zulf
pyārā hai dil to naaz bhī dil ke uThā.e zulf
dar-guzre dil kī yaad se ham jaan to bachī
pīchhe paḌī hai jaan ke ab kyuuñ bulā.e zulf
vo kyuuñ batā.e ham ko dil-e-gum-shuda kā haal
pūchheñ janāb-e-ḳhizr to rasta batā.e zulf
bikhrā.e baal dekh liyā kis ko baam par
har vaqt haa.e zulf hai har lahza haa.e zulf
kis tarah un hasīnoñ ke bhartī rahī hai kaan
pahuñche na tere kaan meñ ai dil sadā-e-zulf
bal khā ke dosh-e-nāz se girnā idhar udhar
vo zulf aur haa.e vo kāfir adā-e-zulf
le kar balā.eñ ḳhud vo kashākash meñ paḌ gayā
dil zulf ko satā.e na dil ko satā.e zulf
phande meñ us ke tā.ir-e-dil aa rahegā aap
murġh-e-nazar ko daam meñ pahle phañsā.e zulf
paiñgā.e aur ye jaubanoñ kā rahnumā-e-dil
sad saala zāhidoñ ko to barsoñ jhulā.e zulf
āshuftagān-e-zulf kā barham hai kyuuñ mizāj
kahtā hai kaun koī na ho mubtalā-e-zulf
saa.e se us ke bhāgte haiñ log duur duur
bigḌī huī hai āj-kal aisī havā-e-zulf
tum naam un kī zulf ko rakhte ho kyuuñ 'riyāz'
sun le tū ek ek kī sau sau sunā.e zulf
ruThe hue ki apne zara ab manae zulf
pyara hai dil to naz bhi dil ke uThae zulf
dar-guzre dil ki yaad se hum jaan to bachi
pichhe paDi hai jaan ke ab kyun bulae zulf
wo kyun batae hum ko dil-e-gum-shuda ka haal
puchhen janab-e-KHizr to rasta batae zulf
bikhrae baal dekh liya kis ko baam par
har waqt hae zulf hai har lahza hae zulf
kis tarah un hasinon ke bharti rahi hai kan
pahunche na tere kan mein ai dil sada-e-zulf
bal kha ke dosh-e-naz se girna idhar udhar
wo zulf aur hae wo kafir ada-e-zulf
le kar balaen KHud wo kashakash mein paD gaya
dil zulf ko satae na dil ko satae zulf
phande mein us ke tair-e-dil aa rahega aap
murgh-e-nazar ko dam mein pahle phansae zulf
paingae aur ye jaubanon ka rahnuma-e-dil
sad sala zahidon ko to barson jhulae zulf
aashuftagan-e-zulf ka barham hai kyun mizaj
kahta hai kaun koi na ho mubtala-e-zulf
sae se us ke bhagte hain log dur dur
bigDi hui hai aaj-kal aisi hawa-e-zulf
tum nam un ki zulf ko rakhte ho kyun 'riyaz'
sun le tu ek ek ki sau sau sunae zulf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.