ruThna tera sar-e-sham bura lagta hai
ruThna tera sar-e-sham bura lagta hai
Zubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
MORE BYZubair Ahmad Tanha Malik Rampuri
rūThnā terā sar-e-shām burā lagtā hai
shab ko phir chāñd lab-e-bām burā lagtā hai
naam le le ke maiñ jiitā huuñ jahāñ meñ jis kā
jaane kyoñ us ko mirā naam burā lagtā hai
ġham bhī mil jaa.e agar un kā to qismat ban jaa.e
ishq meñ kis ko ye in.aam burā lagtā hai
aadmī auroñ ko badnām kare jī bhar ke
apnā jab naam ho badnām burā lagtā hai
ho safar aisā ki mahbūb ho manzil jis kī
ishq vāloñ ko tab ārām burā lagtā hai
jab se dekhī haiñ tirī mast sharābī āñkheñ
nashsha-e-bāda-e-gulfām burā lagtā hai
ho bure kaam se jo daulat-o-shohrat hāsil
phir 'malik' kis ko burā kaam burā lagtā hai
ruThna tera sar-e-sham bura lagta hai
shab ko phir chand lab-e-baam bura lagta hai
nam le le ke main jita hun jahan mein jis ka
jaane kyon us ko mera nam bura lagta hai
gham bhi mil jae agar un ka to qismat ban jae
ishq mein kis ko ye inam bura lagta hai
aadmi auron ko badnam kare ji bhar ke
apna jab nam ho badnam bura lagta hai
ho safar aisa ki mahbub ho manzil jis ki
ishq walon ko tab aaram bura lagta hai
jab se dekhi hain teri mast sharabi aankhen
nashsha-e-baada-e-gulfam bura lagta hai
ho bure kaam se jo daulat-o-shohrat hasil
phir 'malik' kis ko bura kaam bura lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.