ruwansi sham hai baqi abhi to rat-jage honge
ruvāñsī shaam hai baaqī abhī to rat-jage hoñge
unheñ khone se pahle jaane kitne vasvase hoñge
vo kahte the nahīñ jī pā.eñge ho kar judā tum se
maiñ aksar sochtā huuñ kyā vo sach-much mar ga.e hoñge
hamāre TūTne meñ aap kā kuchh bhī nahīñ maanā
hamīñ shīsha rahe hoñge hamīñ patthar rahe hoñge
maiñ un kī yaad meñ din bhar yahī sab farz kartā huuñ
abhī ye kar rahe hoñge abhī vo kar rahe hoñge
ye lag-bhag ġhair-mumkin hai sabhī ko mutma.in rakhnā
vo jo sab kī nazar meñ haiñ bhale vo kyā bhale hoñge
hamāre zehn se pariyoñ ke qisse kyoñ nahīñ jaate
baḌe to haiñ magar kyā ham kabhī sach-much baḌe hoñge
paḌā rahne do apne haal par ham ko masīhāoñ
ki sūkhe zard patte bārishoñ se kyā hare hoñge
ruwansi sham hai baqi abhi to rat-jage honge
unhen khone se pahle jaane kitne waswase honge
wo kahte the nahin ji paenge ho kar juda tum se
main aksar sochta hun kya wo sach-much mar gae honge
hamare TuTne mein aap ka kuchh bhi nahin mana
hamin shisha rahe honge hamin patthar rahe honge
main un ki yaad mein din bhar yahi sab farz karta hun
abhi ye kar rahe honge abhi wo kar rahe honge
ye lag-bhag ghair-mumkin hai sabhi ko mutmain rakhna
wo jo sab ki nazar mein hain bhale wo kya bhale honge
hamare zehn se pariyon ke qisse kyon nahin jate
baDe to hain magar kya hum kabhi sach-much baDe honge
paDa rahne do apne haal par hum ko masihaon
ki sukhe zard patte barishon se kya hare honge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.