saat-e-marg-e-musalsal har nafas bhaari hui
sā.at-e-marg-e-musalsal har nafas bhārī huī
phir fazā-e-jāñ pe sadiyoñ kī thakan taarī huī
ḳhānamāñ-barbād yādeñ dastakeñ dene lagīñ
jab kabhī apnī taraf baḌhne kī tayyārī huī
us ne apne aap ko ham par munavvar kar diyā
phir bhī chashm-e-shauq meñ raushan na chingārī huī
ab kisī kī bhī nazar uThtī nahīñ sū-e-falak
ham zamīñ vāloñ ko āḳhir kaisī bīmārī huī
vaqt kī daldal meñ ḳhush-āhañg lamhe dhañs ga.e
yā'nī har sā'at sukūt-e-shab kī hai maarī huī
is tarah be-kaif mausam to kabhī guzrā na thā
phuul hī barse na to ab ke sharar-bārī huī
ab dayār-e-dil meñ 'aḳhtar' hū kā 'ālam bhī nahīñ
kis aziyyat-nāk mausam se mirī yaarī huī
saat-e-marg-e-musalsal har nafas bhaari hui
phir faza-e-jaan pe sadiyon ki thakan tari hui
KHanaman-barbaad yaaden dastaken dene lagin
jab kabhi apni taraf baDhne ki tayyari hui
us ne apne aap ko hum par munawwar kar diya
phir bhi chashm-e-shauq mein raushan na chingari hui
ab kisi ki bhi nazar uThti nahin su-e-falak
hum zamin walon ko aaKHir kaisi bimari hui
waqt ki daldal mein KHush-ahang lamhe dhans gae
ya'ni har sa'at sukut-e-shab ki hai mari hui
is tarah be-kaif mausam to kabhi guzra na tha
phul hi barse na to ab ke sharar-bari hui
ab dayar-e-dil mein 'aKHtar' hu ka 'alam bhi nahin
kis aziyyat-nak mausam se meri yari hui
- Book : URDU-1983 (Pg. 135)
- Author : NAND KISHORE VIKRAM
- Publication : Publishers & Advertisers J-6,Krishan Nagar (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.