saat-e-zer-o-zabar ke darmiyan koi to hai
sā.at-e-zer-o-zabar ke darmiyāñ koī to hai
sun pas-e-idrāk pesh-e-āsmāñ koī to hai
maiñ ḳhud apne baab meñ rahtī huuñ mahv-e-justujū
ham-rikāb-e-vahshat-e-reg-e-ravāñ koī to hai
ajnabī haiñ saarī āvāzeñ sarā-e-dahr meñ
phir bhī yuuñ lagtā hai merā ham-zabāñ koī to hai
haiñ sabhī banjar ḳhayāl-o-ḳhvāb kī zebā.iyāñ
haañ bas itnā hai ki zeb-e-dāstāñ koī to hai
raqs farmā.eñ ragoñ meñ ishq kī chiñgāriyāñ
kah uThe ya.anī talab sho.ala-ba-jāñ koī to hai
be-sutūñ aflāk be-buniyād raqsāñ hai zamīñ
thaam rakkhā hai kisī ne ye jahāñ koī to hai
ek naqsh-e-yād-e-yār ik partav-e-husn-e-fareb
merī bazm-ārā.iyoñ kā rāz-dāñ koī to hai
bar-sar-e-hijrāñ bhī vābasta hai ummīd-e-visāl
ham sā shahr-e-ārzū meñ ḳhush-gumāñ koī to hai
rah-navard-e-ishq hai ġham āshnā-e-iztirāb
is dayār-e-justujū meñ zau-fishāñ koī to hai
vus.ateñ 'anjum' faromānda haiñ jis ke baab meñ
māvarā-e-kul makāñ-o-lā-makāñ koī to hai
saat-e-zer-o-zabar ke darmiyan koi to hai
sun pas-e-idrak pesh-e-asman koi to hai
main KHud apne bab mein rahti hun mahw-e-justuju
ham-rikab-e-wahshat-e-reg-e-rawan koi to hai
ajnabi hain sari aawazen sara-e-dahr mein
phir bhi yun lagta hai mera ham-zaban koi to hai
hain sabhi banjar KHayal-o-KHwab ki zebaiyan
han bas itna hai ki zeb-e-dastan koi to hai
raqs farmaen ragon mein ishq ki chingariyan
kah uThe yani talab shoala-ba-jaan koi to hai
be-sutun aflak be-buniyaad raqsan hai zamin
tham rakkha hai kisi ne ye jahan koi to hai
ek naqsh-e-yaad-e-yar ek partaw-e-husn-e-fareb
meri bazm-araiyon ka raaz-dan koi to hai
bar-sar-e-hijran bhi wabasta hai ummid-e-visal
hum sa shahr-e-arzu mein KHush-guman koi to hai
rah-naward-e-ishq hai gham aashna-e-iztirab
is dayar-e-justuju mein zau-fishan koi to hai
wusaten 'anjum' faromanda hain jis ke bab mein
mawara-e-kul makan-o-la-makan koi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.