sada kaghaz pe koi nam kabhi likh lena!
saada kāġhaz pe koī naam kabhī likh lenā!
ho sake milne kī ik shaam kabhī likh lenā!
yuuñ to ham ahl-e-junūñ kuchh bhī nahīñ karte haiñ
gumrahī kā hī sahī kaam kabhī likh lenā!
mai-gusāroñ pe taḌapne kī bhī pābandī hai
tishna-kāmoñ ke liye jaam kabhī likh lenā!
kitnī raushan haiñ samundar kī chamaktī rāteñ
Dūbtī lahroñ kā anjām kabhī likh lenā!
bhuut ḳhvāboñ meñ farishte se nazar aate haiñ
zehn meñ apne ye auhām kabhī likh lenā!
toḌ ke kitnī chaTānoñ ko nikal aa.e haiñ
saare jazbe haiñ magar ḳhaam kabhī likh lenā!
bik rahā hai sar-e-bāzār har ik dānish-var
ham se āvāra ke kuchh daam kabhī likh lenā!
jurm koī nahīñ 'bāqar' ko rihā mat karnā
kuchh na kuchh DhūñD ke ilzām kabhī likh lenā!
sada kaghaz pe koi nam kabhi likh lena!
ho sake milne ki ek sham kabhi likh lena!
yun to hum ahl-e-junun kuchh bhi nahin karte hain
gumrahi ka hi sahi kaam kabhi likh lena!
mai-gusaron pe taDapne ki bhi pabandi hai
tishna-kaamon ke liye jam kabhi likh lena!
kitni raushan hain samundar ki chamakti raaten
Dubti lahron ka anjam kabhi likh lena!
bhut KHwabon mein farishte se nazar aate hain
zehn mein apne ye auham kabhi likh lena!
toD ke kitni chaTanon ko nikal aae hain
sare jazbe hain magar KHam kabhi likh lena!
bik raha hai sar-e-bazar har ek danish-war
hum se aawara ke kuchh dam kabhi likh lena!
jurm koi nahin 'baqar' ko riha mat karna
kuchh na kuchh DhunD ke ilzam kabhi likh lena!
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 299)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.