sae majbur hain peDon se utarne ke liye
saa.e majbūr haiñ peḌoñ se utarne ke liye
kyuuñ ḳhizāñ kahtī hai pattoñ se bikharne ke liye
bhar ke muTThī meñ to le jā.egī bādal ko havā
koī shab aa.egī tāroñ se sañvarne ke liye
us ko do pal bhī mirā saath gavārā na huā
saath meñ jis ke maiñ tayyār thā marne ke liye
kahīñ aisā to nahīñ hai ki havā ruuTh ga.ī
muntazir phuul haiñ bāġhoñ meñ bikharne ke liye
kis bahāne se tujhe dekhne aa.e 'jāved'
koī rasta ho tire dar se guzarne ke liye
sae majbur hain peDon se utarne ke liye
kyun KHizan kahti hai patton se bikharne ke liye
bhar ke muTThi mein to le jaegi baadal ko hawa
koi shab aaegi taron se sanwarne ke liye
us ko do pal bhi mera sath gawara na hua
sath mein jis ke main tayyar tha marne ke liye
kahin aisa to nahin hai ki hawa ruTh gai
muntazir phul hain baghon mein bikharne ke liye
kis bahane se tujhe dekhne aae 'jawed'
koi rasta ho tere dar se guzarne ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.