sae ne sae ko sada di
saa.e ne saa.e ko sadā dī
ret kī har dīvār girā dī
is ghar meñ rakkhā hī kyā thā
maiñ ne ghar meñ aag lagā dī
niiñd tumheñ aatī hī kab thī
yaad ne kis kī niiñd uḌā dī
guzre the ḳhāmosh galī se
vo jaane ab jis ne sadā dī
ek zarā sī baat thī jis kī
dil ne saarī umr sazā dī
maiñ apne ġham meñ Duubā thā
tum ne kyuuñ āvāz sunā dī
ik saa.e kī yaad meñ pyāre
nāhaq saarī umr gañvā dī
hū ke aalam meñ bole ho
saarī fazā ik guuñj banā dī
jab sāgar apne par aayā
sāhil kī har chiiz bahā dī
ishq ajab ziddī bachcha hai
sar phoḌā aur ḳhaak uḌā dī
ishq hamārī miTTī meñ thā
sūrat kyuuñ patthar kī banā dī
sae ne sae ko sada di
ret ki har diwar gira di
is ghar mein rakkha hi kya tha
main ne ghar mein aag laga di
nind tumhein aati hi kab thi
yaad ne kis ki nind uDa di
guzre the KHamosh gali se
wo jaane ab jis ne sada di
ek zara si baat thi jis ki
dil ne sari umr saza di
main apne gham mein Duba tha
tum ne kyun aawaz suna di
ek sae ki yaad mein pyare
nahaq sari umr ganwa di
hu ke aalam mein bole ho
sari faza ek gunj bana di
jab sagar apne par aaya
sahil ki har chiz baha di
ishq ajab ziddi bachcha hai
sar phoDa aur KHak uDa di
ishq hamari miTTi mein tha
surat kyun patthar ki bana di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.