sae sapne taswiren hain koi kis se baat kare
saa.e sapne tasvīreñ haiñ koī kis se baat kare
koī akelā tanhā tanhā kaise basar auqāt kare
man ke paañv TuuT chuke haiñ josh-e-anā bhī ThanDā hai
ab ye merā maiñ bechāra kaise kis kī maat kare
ḳhvāboñ ke matvāle dil ko ye ḳhvāhish to rahtī hai
un ke ruḳh se sub.h tarāshe zulf se un kī raat kare
tum ho mere sangī-sāthī donoñ ko samjhāyā jab
merī aql se merā hī dil kaise do do haat kare
isī liye maiñ sab se ziyāda apne aap se Dartā huuñ
mujh par koī zulm kare to merī apnī zaat kare
us se aañkh milī hai jab bhī aksar dhokā khāyā hai
merā man rakhne ko shāyad abhī vo mujh se baat kare
sae sapne taswiren hain koi kis se baat kare
koi akela tanha tanha kaise basar auqat kare
man ke panw TuT chuke hain josh-e-ana bhi ThanDa hai
ab ye mera main bechaara kaise kis ki mat kare
KHwabon ke matwale dil ko ye KHwahish to rahti hai
un ke ruKH se subh tarashe zulf se un ki raat kare
tum ho mere sangi-sathi donon ko samjhaya jab
meri aql se mera hi dil kaise do do hat kare
isi liye main sab se ziyaada apne aap se Darta hun
mujh par koi zulm kare to meri apni zat kare
us se aankh mili hai jab bhi aksar dhoka khaya hai
mera man rakhne ko shayad abhi wo mujh se baat kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.